Thursday, November 05, 2020

Do Pahiye - an ode for my custom build


Do pahiyon ki hai zindagi
Do pahieye hi hai khushi

Do lamhe hai ansoon
Do lamhe hai hasi

Do yaroon ki dosti
Do kahaniyon mein basi zindagi

Do mulakaton ki dastaan
Do dilon ki tishnahi

Do jazbbaton se bani
Do pal ki ye zindagi

Tuesday, August 11, 2020

Umeed

Ek nayi shuruat ki dehleej pe

Pair tham se gaye hai jaise


Khushiyan bahein khol bula rahi hai

Magar dil mein hichkichahat hai jaise


Is mukaam pe pehle bhi laa chuki hai zindagi

Fir kyon hosla kamzoor hai jaise


Har shuruaat ko hasil kahan hoti hai manzil

Is baar khwaab mukammal ho umeed hai jaisee

Zindagi

Zindagi, humne suna hai ki tum sabhi ke imtahaan leti ho

Kisike haath lage asaan, toh kisiko mushkil se deti ho


Humnein apne imtihaan, mushkil se the paaye

Auron ke dekhe toh jaana, hamare haath toh saare asaan hi the aaye


Ab, is kashmakash mein hai dil

Kya asaan hi tha hamara hasil?

ya imtihaan ab bhi hai baaki?

Wednesday, February 19, 2020

Guncha

Zindagi ko ek dhaage se pirote chale gaye
Khwabon ko ji kar yadon mein bharte chale gaye

Jab toota dil hamara ek gunche ke girne se
Tab laga jaise phool saare murjha te chale gaye

Phoolon ke murjha ne se sirf khushbu hi khoti hai
Yaadein toh toote dil mein bhi mehfooz hoti hai

Zindagi kahan ek dhage se bunti hai
Jab toote ek to naye sire se judti hai

Fir bhi ye jod kahan sabko nazar aate hai
Nazar aate hai jine wohi in gunchon ko samaj pate hai

Thursday, February 06, 2020

Hausla

Tumhara dil hum sabhi se bada tha
Jahan hum the ghabraye, wohi tumhara hausla khada tha

Shukriya bhi kehte toh kis zuban se
Jab samne hamara guroor khada tha

Tumne jab muskurake mar giraya use
Tab jeena kya hai samaj aaya humein 

Friday, December 13, 2019

Yaadein

Tumhari kai aisi yaadein hai, jo meine kabhi kisise baati nahi
Hamari poorani tasveeron se, meine abhi tumhari tasveerein chaati nahi

Jaane kyon ek darr hai shayad, un yaadon ko bhula dene ka
Saare acche toh na the fir bhi dil karta hai, un lamhon ko dobara ji lene ka

Nayi yaadein banane se poorani apni ahemiyat kahan khoti hai
Hasti aakon mein bhi ye kahin siskiyan liye roti hai

Lekin yaadon ke sahare zindagi jine se kya hoga haasil
Purane zakhmo ko sehlane se nahi hogi aasaan mushkil

Zindagi ka mazaa naye rishte pirone mein hai
Naye hausle ke saath nayi bulandiyon ko choone mein hai

Der se hi sahi aaj fir ek umeed si jaagi hai
Aaj hum fir ek nayi shuruaat karne ko haavi hai

Wednesday, December 04, 2019

Dost (This one's dedicated to Jitu)

Woh dost hi kya jinke gale lagne se dard kum na ho
Woh dost hi kya jinke bichadne ka gum na ho

Woh dost hi kya jo doston ka marham na ho
Woh dost hi kya jo dosti mein besharm na ho

Woh dost hi kya jo mushkil raaston mein humsafar na ho
Woh dost hi kya jo tumhari manzilon mein shamil na ho

Woh dost hi kya jo tumhari buraiyon ko chupaye
Woh dost he kya jo tumhari galtiya na apnaye

Woh dost hi kya jo apne bikharne par tumhe yaad na kare
Woh dost hi kya jo is baat ki khuda se fariyaad na kare

Woh dost hi kya jo zindagi se badhkar na ho
Woh dost hi hai jinke door jaane se bhi dosti kum na ho

Wednesday, October 30, 2019

Khoj

Zindagi ek khoj hai shayad
Khoj hi hogi, yahan

Kuch sacchai khoj rahe hai
Kuch acchai khoj rahe hai

Kuch rishtey khoj rahe hai
To kuch unke maine khoj rahe hai

Kuch jazbaat khoj rahe hai
To kuch unhe bayan karsake woh alfaz khoj rahe hai

Kuch khushi khoj rahe hai 
Aur kuch hansi khoj rahe hai

Kuch gum hai khwab khojne mein
Aur kuch apni hakikat khoj rahe hai

Kuch dosti khoj rahe hai
To kuch pyaar khoj rahe hai

Hum bhi chale the zindagi khojne

Par ab jaise lagta hai apne aap ko khoj rahe hai